visal-e-yar kaise ho ye qissa kuchh ajab bhi hai

visal-e-yar kaise ho ye qissa kuchh ajab bhi hai
charagh-e-dil jale kab tak bahut lambi ye shab bhi hai

hamein kuchh der ghar ki khidkiyan bhi band karne do
bala ka shor hai bahar khamoshi ki talab bhi hai

wahi pahchan hai apni wahi hai apni azmat bhi
kahin bhi puchh lena apna koi nam-o-nasab bhi hai

ye aankhen did ki talib hain ab bhi bewafa man le
mulaqaten nahin hotin meri jaan kuchh sabab bhi hai

tumhaare nam ko sunte hi khush hota tha dil mera
tumhaara zikr aate hi in aankhon mein ghazab bhi hai

mere bachche jawan hain phir bhi sahma sahma rahta hun
abhi bhi dar hai walid ka wahi dil mein adab bhi hai

khanakti chudiyon mein hai chhalakte jam ka partaw
surur-o-raqs ki rut hai aur ek jashn-e-talab bhi hai

'azim' ab tak wahi yaaden wahi hai mil ka patthar
guzargahon ka har manzar jo pahle tha so ab bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close