tujhe pa ke tujh se juda ho gae hum kahan kho diya tu ne kya ho gae hum mohabbat mein ek saneha ho gae hum abhi the abhi jaane kya ho gae hum mohabbat to khud husn hai husn kaisa ye kis wahm mein mubtala ho gae hum ye kya kar diya inqilab-e-mohabbat zara aaina la ye kya ho gae hum haqiqat mein banda bhi banna na aaya samajhte hain dil mein khuda ho gae hum qayamat tha tujh se nigahon ka milna zamane se na-ashna ho gae hum na ras aain aakhir hamein thandi sansen ajab saz the be-sada ho gae hum tasawwur mein bal pad gae abruon par ye kis bewafa se khafa ho gae hum gudaz-e-mohabbat hamein dil bana de bas ek aanch aur aabla ho gae hum kabhi bazm-e-hasti ki raunaq hamin the 'siraj' ab bujha sa diya ho gae hum