wo KHamushi hai ki KHud se Dara hua hun main

wo khamushi hai ki khud se dara hua hun main
pata nahin kise aawaz de raha hun main

kuchh aise dhab se ghata hai gae dinon mein chand
mere ye dhyan pada hai ki mit raha hun main

palat rahunga abhi ghar bahut udas na ho
pahadiyon se guzarti hui sada hun main

hui jo sham to dil mein udasiyan utrin
charagh jalne lage hain to bujh gaya hun main

wahi shabab wahi bekasi kabhi pahle
guman hai ki isi rah se gaya hun main

wo ek jism wahi kaudta lapakta jism
ki jis ke rang ki nisbat se jogiya hun main

kabhi kabhi mere sapnon ko chhin leti hai
wo ek nigah ki jis ka luta hua hun main

labon pe tark-e-talluq ki baat aate hi
har ek zakhm pukara abhi hara hun main

kuchh aise dhab se mujhe log 'ashk' kahte hain
ki apne nam se begana ho chala hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close