tujhe sang-dil ye pata hai kya ki dukhe dilon ki sada hai kya kabhi chot tu ne bhi khai hai kabhi tera dil bhi dukha hai kya tu rais-e-shahr-e-sitam-garan main gada-e-kucha-e-ashiqan tu amir hai to bata mujhe main gharib hun to bura hai kya tu jafa mein mast hai roz-o-shab main kafan-ba-dosh ghazal-ba-lab tere roab-e-husn se chup hain sab main bhi chup rahun to maza hai kya ye kahan se aai hai surkh-ru hai har ek jhonka lahu lahu kati jis mein gardan-e-arzu ye usi chaman ki hawa hai kya