tujhe sunaun ghazal ya sunaun apna gham zara irada bata tu bhi kuchh ai mere sanam main shahzadi hun alfaz ke riyasat ki khazana sher-o-sukhan ka kabhi na hoga kam nibha rahe hain sabhi se khulus ke rishte isi se baqi hai duniya ke bazuon mein dam jo hum se raat mein tanhai ham-kalam hui sanwar gaya mere jazbon ka aaj sara kham mujhe pasand nahin be-hayai duniya ki koi samet le aa kar tamiz ka yun bharam bayan kar diya jazbaat main ne bhi 'shirin' hunar ye apna nahin hai khuda ka khas karam