aise rakhti hai hamein teri mohabbat zinda jis tarah jism ko sanson ki hararat zinda shauq ki rah mein ek aisa bhi pal aata hai jis mein ho jati hai sadiyon ki riyazat zinda roz ek khauf ki aawaz pe hum uthte hain roz hoti hai dil o jaan mein qayamat zinda ab bhi anjaan zaminon ki kashish khinchti hai ab bhi shayad hai lahu mein kahin hijrat zinda taat-e-jabr bahut aam hui jati thi ek inkar ne ki rasm-e-baghawat zinda hum to mar kar bhi na baatil ko salami denge kaise mumkin hai ki kar len teri baiat zinda hum mein soqraat to koi nahin phir bhi 'shahbaz' zahr pi lete hain rakhte hain riwayat zinda