tujhe to aaj bhi hum be-shumar chahte hain ek aur tarah ka lekin qarar chahte hain hamara masala ye hai ki sham hote hi hum apne aap se thoda farar chahte hain palatne wale tujhe pahle hi bataya tha kisi bhi shakhs ko hum ek bar chahte hain ye log kyun bhala thakte dikhai dete nahin ab aur kitna tera intizar chahte hain hamare tajarbe itne ziyaada thik nahin so tujh se pyar nahin e'tibar chahte hain khuda hawas se bachae magar kai din se tere badan pe bhi hum ikhtiyar chahte hain