thoDi ziddi hai magar dekhna thak jaegi

thodi ziddi hai magar dekhna thak jaegi
ek diwar mere sath chipak jaegi

ye batao ki kahin ruk to nahin jaana hai
ye batao ki kahan tak ye sadak jaegi

zabt wala hun magar samne aa kar us ke
jaanta hun ki meri aankh chhalak jaegi

sirf pedon ke hi chehre nahin utre honge
sari basti pe udasi wo chhidak jaegi

raat chaupal mein dete the tasalli sare
chand hi roz hain ab fasl bhi pak jaegi

phal ka phir bojh to us se nahin uthne wala
baur aate hi agar shakh lachak jaegi

us ne man-bap ka chup-chap kaha man liya
main to samjha tha ki pankhe se latak jaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close