tujh ko apna ke bhi apna nahin hone dena zakhm-e-dil ko kabhi achchha nahin hone dena main to dushman ko bhi mushkil mein kumak bhejunga itni jaldi use paspa nahin hone dena tu ne mera nahin hona hai to phir yaad rahe main ne tujh ko bhi kisi ka nahin hone dena tu ne kitnon ko nachaya hai ishaaron pe magar main ne ai ishq! ye mujra nahin hone dena us ne khai hai qasam phir se mujhe bhulne ki main ne is bar bhi aisa nahin hone dena zindagi mein to tujhe chhod hi deta lekin phir ye socha tujhe bewa nahin hone dena mazhab-e-ishq koi chhod mare to main ne aise murtad ka janaza nahin hone dena