qabil-e-sharh mera haal-e-dil-e-zar na tha sunne wale to bahut the koi gham-khwar na tha ab wo jine ke liye soch raha hai tadbir apne hathon jise marna kabhi dushwar na tha mujh se puchho to qaza us ki hai maut us ki hai dosh-e-ahbab pe jo mar ke giran-bar na tha chunte the bagh mein aa aa kar unhen ahl-e-junun aashiyan ka mere tinka koi bekar na tha ye hamin ne to mohabbat ki nikalin rasmen aap par marne ko pahle koi tayyar na tha dam-e-sayyaad mein aazad raha shikwa-e-gham main giraftar tha lekin ye giraftar na tha ab unhen samne aane mein hai uzr ai 'bismil' milne-julne se jinhen peshtar inkar na tha