tujh ko chahun meri majal kahan bas mein lekin mera khayal kahan tera milna muhaal hai lekin tu jo chahe to phir muhaal kahan ek lamha karam ka de dete main ne mange the mah-o-sal kahan phir nasheman qafas mein yaad aaya main kahan aur mera khayal kahan mai-kada jo rah-e-hayat mein ho gumrahi ka phir ehtimal kahan dil ne mushkil se chain paya tha phir se aaya tera khayal kahan wo mile bhi to ajnabi ki tarah pursish-e-haal ka sawal kahan jalwa-e-husn mein hua hun gum ab yahan ja-e-qil-o-qal kahan chup hi behtar hai is zamane mein sunne wala hai dil ka haal kahan kya na dekha 'habib' duniya mein yan se jaane mein phir malal kahan