tumhaari aarzu tum se kahin badh kar hasin nikli ki duniya ki har ek shai se yahi dil ke qarin nikli main samjha yaad bhi tark-e-talluq par to aaegi magar jab dil tatola hai wahin ye jaguzin nikli abhi kuchh aur bhi khelo mere chahat bhare dil se abhi bhi zakhm kam kam hain abhi hasrat nahin nikli sar-e-mahfil kiya ruswa mujhe teri mohabbat ne jhuki jo nam par tere wo meri hi jabin nikli nigahon ne tujhe dhunda tujhe dil se pukara hai nazar aai na jo surat wo surat dil-nashin nikli hai do hi din ki umr-e-gul magar zinda-dili dekho tabassum lab pe raqsan hai faza hargiz nahin nikli jahan par sarhaden dair-o-haram ki khatm hoti hain wahin par nur-e-iman hai wahin rah-e-yaqin nikli hamari zindagi dariya ki mauj-e-muztarib si hai kahin ubhri kahin machli kahin dubi kahin nikli utha karti hain maujon ki tarah hi hasraten dil mein nai kitni ubhar aaen jo ek hasrat kahin nikli shab-e-furqat 'habib' apna na koi kaam ka nikla na aansu ba-asar nikle na aah-e-atishin nikli