tujhko dekhe ek zamana ho gaya

tujh ko dekhe ek zamana ho gaya
zahr ab to aab-o-dana ho gaya

ishq jine ka bahana ho gaya
dam tha qismat se dana ho gaya

muskura kar tu rawana ho gaya
meri wahshat ka bahana ho gaya

sair karke tu chaman se kya chala
dil bhi pahlu se rawana ho gaya

ek din roe the teri yaad mein
tha ye qissa jo fasana ho gaya

di jila aisi tasawwur ne tere
dil mera aaina-khana ho gaya

puchhte ho haal kya 'ali' ka ab
mar gaya wo to zamana ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close