tujh ko pane ke liye khak-e-tamanna ho jaun tere qadmon mein bikhar kar tera rasta ho jaun aur kab tak main karun madh-sarai apni mujh ko taufiq de ya-rab ki main tera ho jaun tujh ko koi bhi kabhi mere siwa dekh na pae aankh mein bhar lun tujhe aur main andha ho jaun chand lamhon ke liye khud ko mukammal dekhun be-irada hi sahi main kabhi yakja ho jaun fikr-e-uqba na karun tujh mein giraftar rahun shaeri tere liye main sag-e-duniya ho jaun ye karishma bhi kisi roz to raushan ho jae tu meri aarzu mein teri tamanna ho jaun main ki amboh-e-azizan mein kisi ka bhi nahin zindagi mujh se lipat ja ki main tera ho jaun ye ajab shart hai taslim-o-raza ki 'akhtar' khud ko pahchanna chahun to main andha ho jaun