tujhko to malum tha mere yar udasi hai

tujh ko to malum tha mere yar udasi hai
tujh se hi to hum kahte the yar udasi hai

tere hissa mein awwal khushiyan hongi shayad
par mere hissa mein pahle yar udasi hai

mere pas nahin hai koi tere pas hun main
phir teri aankhon mein kaise yar udasi hai

khud ko hansta jab bhi dekhun ro deta hun main
chhai is darje ki mujh pe yar udasi hai

jis ko guman ho mere yun be-baat hi hansne pe
wo meri aankhon mein dekhe yar udasi hai

jo sawan hote sukha us phul pe lanat ho
mujh pe lanat tere hote yar udasi hai

tujh ko hansta dekh ke hi to zinda hain sab log
tujh se koi kaise kah de yar udasi hai

isi udasi ne khush-nazari ki di hai saughat
dekho to kahne ko waise yar udasi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close