tumhin nahin ho ki jis ke hisse apar dukh hain

tumhin nahin ho ki jis ke hisse apar dukh hain
hamari aankhen bhi bolti hain ki yar dukh hain

samajh raha hai tu jis ko apni khushi ki gathri
nahin hain us mein khushi use tu utar dukh hain

agar tumhein lag raha hai ye dukh bas upri hain
ye hath dekho qatar andar qatar dukh hain

kuchh ek hi bas bache hain jin ko hai tujh se ummid
hamein tu aa kar sambhaal parwardigar dukh hain

unhen chhupaen ki un pe likhen ki un ko roen
do-chaar hote to bhi sahi tha hazar dukh hain

ye jis tarah se hawa mein shamil hai oxigen
isi tarah se har ek khushi mein shumar dukh hain

main apne jaison ko dhundne mein laga hua hun
tujhe bhi dukh hain to sath aa kar pukar dukh hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close