tujh se ab rishta nibhana bhi nahin chahta hai dil tujhe chhod ke jaana bhi nahin chahta hai ye ajab baat hai wo mera talabgar bhi hai aur mujhe apna banana bhi nahin chahta hai tu mujhe chhod raha hai to shikayat kaisi tu mera ho ye zamana bhi nahin chahta hai wo agar ruth gaya hai to use jaane do ab ye dil us ko manana bhi nahin chahta hai tujh ko fursat hi nahin hai to koi baat nahin haal-e-dil koi sunana bhi nahin chahta hai zulm-e-baatil ki shikayat bhi sabhi ke lab par aur koi sang uthana bhi nahin chahta hai main tere nam se ruswa hun mujhe fikr nahin dil kahin aur thikana bhi nahin chahta hai jis qadar tut ke chaha hai use main ne 'faraaz' is tarah koi diwana bhi nahin chahta hai