mustaqil ranj-o-alam toD ke rakh dete hain

mustaqil ranj-o-alam tod ke rakh dete hain
achchhe achchhon ko ye gham tod ke rakh dete hain

lakh baatil ke sitam tod ke rakh dete hain
ahl-e-tauhid sanam tod ke rakh dete hain

daur-e-hazir mein raqibon ki zarurat kya hai
doston hi ke karam tod ke rakh dete hain

pala jata hai bade naz se jin ko aksar
wahi bete to bharam tod ke rakh dete hain

'ghaalib'-o-'mir' se kahne ko bacha hi kya hai
phir bhi kuchh log qalam tod ke rakh dete hain

in hasinon pe yaqin karna himaqat hai faqat
ye to har ahd-o-qasam tod ke rakh dete hain

hum ne to fath ke lahrae wahan bhi parcham
hausle bhi jahan dam tod ke rakh dete hain

ninden ud jati hain dil dubne lagta hai 'faraaz'
be-wafaon ke sitam tod ke rakh dete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close