tujhse baDh kar nigah-e-lutf-o-ata kis ki thi

tujh se badh kar nigah-e-lutf-o-ata kis ki thi
is ki tabir magar mere khuda kis ki thi

shahr ke shor mein sahraon ke sannate mein
main khada soch raha hun ki sada kis ki thi

main ne khud apne lahu se ye chaman sincha tha
mujh se ab puchh rahe ho ki khata kis ki thi

main ki aaina tha phir sang-e-malamat kaisa
dil-e-khun-gashta mein taswir-e-butan kis ki thi

ab khad-o-khal naqabon mein nahin chhup sakte
jism khud chikh uthega ki qaba kis ki thi

apne lahje mein koi rang bharo ya na bharo
log pahchan gae tarz-e-ada kis ki thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close