wafa ki aas mein dil de ke pachhtaya nahin karte ye nakhl-e-arzu hai is mein phal aaya nahin karte khayalon mein jab aate hain to pahron ja nahin pate hum ab be-wasl tanhai bhi ghabraya nahin karte hamari nind se kya wasta hai un ki nindon ko suna hai wo bhi ab aaram farmaya nahin karte zara se kya payam aata hai dushman jal ke marte hain khuda ka shukr hai wo khud idhar aaya nahin karte na tum aao na nind aae na hi kam-bakht maut aae ye kaisi kashmakash hai yun bhi tadpaya nahin karte hamari tishnagi-e-did ek din rang laegi shahidon ki qasam pyason ko tarsaya nahin karte hamare gird jo phirte the khush-haali ke aalam mein shikayat kya ki 'taj' ab bhul kar aaya nahin karte