tujh se bichhad ke hum bhi muqaddar ke ho gae phir jo bhi dar mila hai usi dar ke ho gae phir yun hua ki ghair ko dil se laga liya andar wo nafraten thin ki bahar ke ho gae kya log the ki jaan se badh kar aziz the ab dil se mahw nam bhi aksar ke ho gae ai yaad yar tujh se karen kya shikayaten ai dard-e-hijr hum bhi to patthar ke ho gae samjha rahe the mujh ko sabhi nasehan-e-shahr phir rafta rafta khud usi kafar ke ho gae ab ke na intizar karen chaaragar ki hum ab ke gae to ku-e-sitamgar ke ho gae rote ho ek jazira-e-jaan ko 'faraaz' tum dekho to kitne shahr samundar ke ho gae