tujh se main mujh se aashna tum ho main hun khushbu magar hawa tum ho main likhawat tumhaare hathon ki meri taqdir ka likha tum ho tum agar sach ho, main bhi jhut nahin aks main, mera aaina tum ho be-khudi ne mera bharam toda main samajhta raha khuda tum ho main hun mujrim, mere ho munsif tum main khata hun, meri saza tum ho sip ki aas ban ke chahun tumhein lae jo moti wo ghata tum ho apni majburiyon ka ranj nahin bewafa main hun, ba-wafa tum ho rog ban kar pada hua hai 'kanwal' tum dawa ho, meri dua tum ho