bahr-e-gham mein dil ka qarina lakhon maujen ek safina tuta hai dil shaq hai sina dekh kar us zalim ka qarina bhig gai duniya-e-mohabbat aaya tha kuchh mujh ko pasina shakhen phutin kaliyan chatkin aa pahuncha phagun ka mahina haal bhi mera aap na puchhen itni ranjish itna kina mar jaana takmil-e-wafa mein hai mearaj ka pahla zina meri gardan tera khanjar teri barchhi mera sina barq bala ya barq ada ho donon ka hai ek qarina kya ho sukun ai bahr-e-mohabbat sahil se hai dur safina jalta hun teri mahfil mein jannat mein dozakh ka qarina hijr ka aalam yaad hai mujh ko ek ek din ek ek mahina maut ki sakhti main ne samjhi mathe par nikla jo pasina shama ke dam se bazm munawwar kahne ko mehman-e-shabina koi jabir koi sabir ek mera ek un ka qarina hil jao bhi khul khelo bhi achchha din achchha hai mahina unhen mere dil se umangen gharq kiya maujon ne safina dil ko fughan pahunchae falak tak nichi chhat hai uncha zina phir utha tufan-e-mohabbat 'nuh' karen tayyar safina