tujh se mil kar dil mein rah jati hai armanon ki baat yaad rahti hai kisi sahil pe tufanon ki baat wo to kahiye aaj bhi zanjir mein jhankar hai warna kis ko yaad rah jati hai diwanon ki baat kya na thi tum ko khabar ai kaj-kalahan-e-bahaar bu-e-gul ke sath hi phailegi zindanon ki baat khair ho mere junun ki khil gae sadha gulab warna koi puchhta hi kya bayabanon ki baat kya kabhi hoti kisi ki tu magar ai zindagi zahr pi kar hum ne rakh li tere diwanon ki baat rishta-e-yaad-e-butan tuta na tark-e-ishq se hai haram mein ab bhi zer-e-lab sanam-khanon ki baat ham-nashin us ke lab o rukhsar hon ya sair-e-gul tazkira koi bhi ho niklegi mai-khanon ki baat bazm-e-anjum ho ki bazm-e-khak ya bazm-e-khayal jis jagah jao sunai degi insanon ki baat ibn-e-adam khosha-e-gandum pe hai mail-ba-jang ye na hai masjid ka qissa aur na but-khanon ki baat phul se bhi narm-tar 'wamiq' kabhi apna kalam aur kabhi talwar hum aashufta-samanon ki baat