tujh se mile baghair ye mujh ko pata na tha wasl-o-firaq kya hai ye main jaanta na tha aazad ho gaya main jahan ke khayal se lekin tera khayal mujhe chhodta na tha main us ko dekhta tha bade ishtiyaq se lekin kabhi wo meri taraf dekhta na tha tum kya khafa hue ki khafa ho gaya jahan jab tum khafa na the to koi bhi khafa na tha ek teri yaad hi thi meri manzil-e-talab warna safar mein koi mera rahnuma na tha mahrumiyan likhi thin hamare nasib mein dil par hamare harf-e-masarrat likha na tha 'masum' ye bhi apne muqaddar ki baat hai un ka mila suragh to apna pata na tha