tujhse milunga phir kabhi KHwab-o-KHayal bhi nahin

tujh se milunga phir kabhi khwab-o-khayal bhi nahin
chehre pe in dinon magar gard-e-malal bhi nahin

aaina-e-sifat mein zat ka aks kya mile
us ki talash ho kahan jis ki misal bhi nahin

tere sitam ki guftugu tere karam ki justuju
subh-e-firaq bhi nahin sham-e-visal bhi nahin

mujh ko talab se kya mila dard-o-sarab aagahi
meri nazar mein mo'tabar shahr-e-jamal bhi nahin

wo bhi the din ki aaina ban ke wo samne rahe
ye bhi hai ab ki khwahish-e-pursish-e-haal bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close