thoDa sa muskura ke nigahen milaiye

thoda sa muskura ke nigahen milaiye
mujh ko meri hayat ka maqsad bataiye

mujh se bhi kuchh huzur talluq tha aap ka
yun be-murawwati se na daman chhudaiye

shayad kisi maqam pe main kaam aa sakun
mujh ko bhi sath lijiye tanha na jaiye

guzrega is taraf se bhi ek din hujum-e-gul
har-chand aap rah mein kante bichhaiye

'nasir' udasiyan to rahengi yunhi mudam
dhalne lagi hai raat koi git gaiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close