tujh se nazar mila kar diwana ho gaya main kuchh raaz ban gaya kuchh afsana ho gaya main apne liye bahaya khun-e-jigar to kya gham tere liye to rangin afsana ho gaya main han ab utha rahe ho diwana-war nazren jab tum se tang aa kar diwana ho gaya main ye soch kar ki shayad parwana-war aao afsurda sa charagh-e-gham-khana ho gaya main hat kar ghamon se akasr thukra diya ghamon ko akasr ghamon se ghut kar diwana ho gaya main teri nazar mein rah kar ek raaz ban gaya tha gir kar teri nazar se afsana ho gaya main ek bar aur dekha hasrat se un ki jaanib phir rafta rafta un se begana ho gaya main ab to meri khamoshi sab kah chuki hai tum se ab to suna-sunaya afsana ho gaya main hai kal aansuon ka kyun chashm-e-gham mein 'jazbi' kis rind-e-tishna-lab ka paimana ho gaya main