shamiyane meri ghibat mein hawa tanti hai ganw mein mere na hone se badi shanti hai wo bagula hai ki udne pe sada aamada main jo mitti hun to mitti bhi kahan manti hai dekhna kaise humakne lage sare patthar meri wahshat ko tumhaari gali pahchanti hai phul banti hai kali hanste-hansate lekin us ke dil pe jo guzarti hai wahi jaanti hai meri koshish hai ki duniya ko bana dun firdaus aur duniya mujhe nakaron mein gardanti hai hum ko ek haal mein qismat nahin rahne deti kabhi mitti mein milati hai kabhi chhanti hai