tujh se pahle to koi aur khuda tha lekin phir wo majzub sar-e-rah mila tha lekin rah behtar nahin hai tere liye ye meri jaan tujh se pahle bhi kai bar kaha tha lekin sahl kab hota hai mar mitna kisi ki khatir sar-ba-kaf main to junun ban ke lada tha lekin tu ne us waqt talattuf na kiya mujh par kyon main sada ban ke wafa bol raha tha lekin chaarasazi mein tasarruf se chalen to behtar main tere sar pe falak ban ke utha tha lekin kya bataunga jo puchhenge zamane wale dil-shikan tu hua kyon mujh se khafa tha lekin fart-e-ulfat mein tere pa ki qasam hai 'alwi' main teri rah mein diya ban ke jala tha lekin