inhin fikron mein guzri umr rahat kaisi hoti hai

inhin fikron mein guzri umr rahat kaisi hoti hai
yahi uljhan rahi har dam masarrat kaisi hoti hai

bataun kya kisi ko main ki hijrat kaisi hoti hai
tamanna ki harim-e-dil se rukhsat kaisi hoti hai

zara to ghaur kar ai dil ki farhat kaisi hoti hai
nazar phulon pe padte hi masarrat kaisi hoti hai

talash-e-yar mein nikle to phir taklif ka kya gham
khayal-e-ishq kya jaane musibat kaisi hoti hai

mohabbat ki nazar se dekh le koi zara aakar
ye hasrat hai ki aankhon ki ziyarat kaisi hoti hai

jahan majburiyan hon sair kar us bagh ki ja kar
tujhe malum ho jaega hasrat kaisi hoti hai

ghalat hai zahidon ko naz apni khushk taat par
ye puchh un ke gunahgaron se rahmat kaisi hoti hai

hue lakhon bapa mahshar azal se aaj tak dil mein
are waiz tu kya jaane qayamat kaisi hoti hai

unhen hum jaan-o-dil de kar rahe taklif mein daim
na jaane aish kya hai aur rahat kaisi hoti hai

shikayat hijr ki karne hi ko the josh-e-ulfat mein
dil-e-betab chillaya ki furqat kaisi hoti hai

koi hai mubtala-e-gham koi masruf-e-ishrat hai
magar ye koi kya samjhe mashiyyat kaisi hoti hai

teri mansha se hain bimar darman-o-dawa se kya
hamein ab tak nahin malum sehat kaisi hoti hai

chaman mein gul hazaron hain magar jaane se hun qasir
are tauba ye kyon kah dun ki hasrat kaisi hoti hai

'umar' jo did ke talib hain wo aaen to mahshar mein
sar-e-mahfil ye dekhenge ki azmat kaisi hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close