tujhse rishta na koi KHas shanasai hai

tujh se rishta na koi khas shanasai hai
phir bhi ek umr se dil tera tamannai hai

ab ke ummid-e-wafa bandh raha hun jis se
log kahte hain ki wo shakhs bhi harjai hai

dil ki har baat se inkar bhi na-mumkin hai
man lene mein bhi andesha-e-ruswai hai

khud hi wo dard bana khud hi dawa ban baitha
khub us shakhs ka andaz-e-masihai hai

ab ke yun tut ke bikhra hun kisi ki khatir
mujh ko khud apne bikharne ki sada aai hai

manta hun teri aankhen bhi dubo deti hain
lekin apne bhi khayalat mein gahrai hai

ja-ba-ja khak pe tute hue par bikhre hain
khub bulbul ne chahakne ki saza pai hai

sun ke meri wo jawan-marg ka bole 'shahid'
kya wo shair jo mere nam ka saudai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close