tujh se tadbir-o-amal katba-e-taqdir na dekh khwab sarmaya tera khwab ki tabir na dekh dekh kis fard ke dil mein hai siyahi kitni kis ke chehre pe hai bikhri hui tanwir na dekh har musawwir ka gham-e-dil hai talabgar-e-nazar ek tajir ki tarah khaka-o-taswir na dekh aaj bhi jang ke baadal hain jahan par chhae ahd-namon se ayan amn ki tahrir na dekh aatish-e-qalb se teshe hue ashaar 'nadim' ham-nashin un mein kabhi barf ki tasir na dekh