waiz kare hai baat sharab-e-tahur ki andhe ko sujhti hai andhere mein dur ki hum aa re bail mar mujhe ke nahin murid hum ko padi hai kya ki karen sair tur ki ai gardish-e-hayat tera lakh shukriya mitti palid khub ki chehre ke nur ki le aaenge kharid ke sayyaad kya nahin bande ko aisi chah nahin hai tuyur ki mauqe pe be-khudi bhi na karne de ikhtiyar chahat meri bala hi kare is shuur ki ya-rab isi jahan mein kat jae chain se ghilman ki hai chah na khwahish hai hur ki har mah chaar murgh hi mil jaen jo 'nadim' rah jae laj mere sar-e-pur-ghurur ki