tujh se tuta rabt to phir aur kya rah jaega intishaar-e-zat ka ek silsila rah jaega qurbaten mit jaengi aur fasla rah jaega chand yaadon ke siwa bas aur kya rah jaega ye taghaful ek din ek saneha ban jaega aks to kho jaega aur aaina rah jaega waqt mein lamha sa main tahlil hota jaunga khali aankhon se ye manzar dekhta rah jaega ek shair ek hasin se sher ki khatir mita waqt ki tahwil mein ye waqia rah jaega sard-mehri ke kohar mein us ka chehra kya mile in dhundlakon mein use tu dhundhta rah jaega ek saya narm-o-nazuk chhod kar jo chal diya sar pe suraj ek musafir rasta rah jaega