tuk dekh len chaman ko chalo lala-zar tak kya jaane phir jien na jien hum bahaar tak qismat ne dur aisa hi phenka hamein ki hum phir jite-ji pahunch na sake apne yar tak le jaun ab main yan se kahan apna aashiyan dushman hai is chaman mein mera khar khar tak dast-e-sitam daraaz kiya jab junun ne chhoda na mere pas gareban ka tar tak phir bhi tuk itna us ko tu kah dijiyo saba jawe agar hamare taghaful-shiar tak jine ki surat us ki thaharti hai koi dam is waqt mein bhi pahuncho jo us be-qarar tak kah is zamin mein ek ghazal aur bhi 'hasan' hai teri taba kahne par ab to hazar tak