tamhid-e-sitam aur hai takmil-e-jafa aur chakhne ka maza aur hai pine ka maza aur donon hi bina-e-kashish-o-jazb hain lekin naghmon ki sada aur hai nalon ki sada aur ai fitrat-e-gham zist hi kya kam thi musibat nazil hui is par ye mohabbat ki bala aur takra ke wahin tut gae shisha-o-saghar mai-khwaron ke jhurmut mein jo saqi ne kaha aur wo khud nazar aate hain jafaon pe pasheman kya chahiye ab tum ko 'shakil' is ke siwa aur