tuk dekhiyo ye abru-e-khamdar wahi hai kushta hun main jis ka so ye tarwar wahi hai mansur sa koi na hua khalq jahan mein is mamlakat-e-faqr ka sardar wahi hai puchha jo main us se ki 'huzur' aisa koi aur gahak bhi hai ya ek kharidar wahi hai itni jo aziyyat use deta hai tu har dam kya qabil-e-jaur-o-sitam ai yar wahi hai kahne laga hum logon ka mashrab to yahi hai jo koi bahut chahe gunahgar wahi hai