dil mein rakkhe hue aankhon mein basae hue shakhs pas se dekh mujhe dur se aae hue shakhs jaanta hun ye mulaqat zara der ki hai tapti rahon mein khunuk chhanw khilae hue shakhs tere lab par tere rukhsar ki lau padti hai tab-e-khurshid se mahtab jalae hue shakhs ye to duniya bhi nahin hai ki kinara kar le tu kahan jaega ai dil ke satae hue shakhs dhup ranjish ki tarah phail rahi hai mujh mein kya kahun tujh se mere sae mein aae hue shakhs munhadim hote hue waqt se puchho to 'saud' kya hue wo tere hathon ke banae hue shakhs