tuk ek insaf kar itni bhi karta hai jafa koi karega baad mere kis tawaqqoa par wafa koi nazar aata nahin sabit gareban ek ghunche ka chaman par ye sitam karta hai ai baad-e-saba koi gul-o-lala se shor-angez-tar haigi hina teri na ho diwana kyun kar dekh tere dast-o-pa koi ajab saj se kiya hai qatl mujh ko is ko mat toko talab karta hai aise qatilon se khun-baha koi guzar ja wasl se gar hijr mein dekhe raza us ki mohabbat mein 'yaqin' leta hai nam-e-muddaa koi