rah-e-hayat ko aasan bana sako to chalo hamara sath agar tum nibha sako to chalo nigah-e-naz ka jadu jaga sako to chalo qadam qadam pe nae gul khila sako to chalo rah-e-wafa mein ghamon ke bahut andhere hain har ek haal mein tum muskura sako to chalo mere khayal ki duniya hai mujh pe chhai hui mere khayal ki duniya pe chha sako to chalo bade khulus se chehre fareb dete hain nigah ban ke dilon mein sama sako to chalo saja ke raat ke mathe pe chand ka jhumar mujhe andhere mein rasta dikha sako to chalo nai hai rah to 'qaisar' nai nigah bhi ho nai hayat ke naghme suna sako to chalo