tul-e-shab samne ek hijr ki tanhai hai dil ke bahlane ko yaadon ki masihai hai dil hai labrez shikayat se magar kya kije pa-e-adab mein zanjir-e-shakebai hai un ke wada pe zara main jo yaqin karne laga bole ghabra ke qasam hum ne nahin khai hai zindagi bhar mujhe aansu the rulae jis ne chashm-e-tar le ke wo turbat pe mere aai hai ek shair ke tasawwur se kahan chhupta hai band aankhon mein chhalakti teri parchhai hai ruk si jati hai ghata kar ke tarashshoh kuchh dam kis tazabzub mein hai kyon aa ke yahan chhai hai kitni ummidon se aaghaz-e-safar karte hain zindagi kya hai faqat fasla-paimai hai hum ne sikha hai ye nairang-e-zamana se 'amir' na masiha hai yahan aur na masihai hai