tum aa gae jo yahan raat ke andhere mein

tum aa gae jo yahan raat ke andhere mein
hain chandni ka saman raat ke andhere mein

tumhein hai shauq bahut titliyan pakadne ka
phiro na yun meri jaan raat ke andhere mein

bhatakti phirti hain ruhen andheri raaton mein
nikal pade ho kahan raat ke andhere mein

tumhaari yaad ne dilkash bana diya warna
ye dilkashi thi kahan raat ke andhere mein

yahan to din ke ujale mein log darte hain
kahan chale ho miyan raat ke andhere mein

mera harif mukhatib hai mujh se yun jaise
sada-e-shor-e-sagan raat ke andhere mein

jab aa gai hai tabiat to fikr kya waiz
milega kaun yahan raat ke andhere mein

ye kis khayal mein ghar se nikal pade ho 'ghani'
sukun milega kahan raat ke andhere mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close