tum achchhe masiha ho dawa kyon nahin dete

tum achchhe masiha ho dawa kyon nahin dete
be-nur jo hai shama bujha kyon nahin dete

be-nam hun be-nang hun zahir to hai tum par
gar rabt nahin dil se bhula kyon nahin dete

khushbu kei tarah phul kei uthunga chaman se
tum phul ko zulfon se gira kyon nahin dete

pahunchunga kashakash mein jahan tum ne bulaya
tum hashr ke maidan se sada kyon nahin dete

mahfil mein agar raunaq-e-mahfil hai koi aur
ye baat bhi mahfil ko bata kyon nahin dete

ek bund si larzan hai sar-e-chashm-e-tamanna
nayab nahin aab gira kyon nahin dete

na-karda gunahon kei saza maut mili hai
phir karda gunahon kei saza kyon nahin dete

zakhmon ko mere dil pe agar dekh liya hai
daman se wafaon kei hawa kyon nahin dete

dekha tha kabhi hum ne mohabbat ka janaza
baqi hai agar kuchh to dikha kyon nahin dete

har lamha hamara hi fasana hai zaban par
hum kuchh bhi nahin hain to bhula kyon nahin dete

kar lenge har ek manzil-e-dushwar ko sar hum
ek jam mohabbat ka pila kyon nahin dete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close