wo sanjida hai ranjida nahin hai meri aankhon ko kuchh dhoka nahin hai na itni jald itne bad-guman ho abhi tum ne mujhe samjha nahin hai nazar dil dhadkanen jazbaat aansu paraya hai ye sab apna nahin hai kuchh aise nam bhi dil par raqam hain ki jin se rabt hai rishta nahin hai jo shisha-gar hua karte the kal tak ab un hathon mein aaina nahin hai khajil hain hum wafaon par bhi lekin jafaon par wo sharminda nahin hai meri basti hai ya aabaad jangal makan maujud ham-saya nahin hai wo apni bhuk hi kha lenge ek din wo jin kai pas aazuqa nahin hai nazar be-nur hoti ja rahi hai bahut din se tumhein dekha nahin hai jo dil masruf ho yaadon mein teri wo tanhai mein bhi tanha nahin hai zawal-e-abru bas ek zid par tumhein mearaj ye zeba nahin hai