tum achchhe masiha ho dawa kyun nahin dete be-nur jo hai shama bujha kyun nahin dete be-nam hun be-nang hun zahir to hai tum par gar rabt nahin dil se bhula kyun nahin dete khushbu ki tarah phul ki utthunga chaman se to phul ko zulfon se gira kyun nahin dete pahunchunga kashakash mein jahan tum ne bulaya tum hashr ke maidan se sada kyun nahin dete mahfil mein agar raunaq-e-mahfil hai koi aur ye baat bhi mahfil ko bata kyun nahin dete ek bund si larzan hai sar-e-chashm-e-tamanna nayab nahin aab gira kyun nahin dete na-karda gunahon ki saza maut mili hai phir karda-gunahon ki saza kyun nahin dete zakhmon ko mere dil pe agar dekh liya hai daman se wafaon ki hawa kyun nahin dete dekha tha kabhi hum ne mohabbat ka janaza baqi hai agar kuchh to dikha kyun nahin dete har lamha hamara hi fasana hai zaban par hum kuchh bhi nahin hain to bhala kyun nahin dete kar lenge har ek manzil-e-dushwar ko sar hum ek jam mohabbat ka pila kyun nahin dete