kya qadr-e-ana hogi jabin jaan rahi hai jis shahr mein sajdon ki hi pahchan rahi hai kuchh hum ne bhi duniya ko sataya hai bahr haal kuchh apni tabiat se bhi halkan rahi hai mazbut raha husn-e-nazar se mera rishta jab tak wo mere shahr mein mehman rahi hai mai ne bhi diya hai meri wahshat ko badhawa do chaar dinon wo bhi nigahban rahi hai us ko to safar karte nahin dekha kisi ne rahon ki magar dhul use pahchan rahi hai wo ho ki na ho farq nahin padta hai kuchh bhi ye raat kai sadiyon se viran rahi hai kya jaane kahan khatm ho 'ashhar' ki kahani ab tak to kisi dard ka unwan rahi hai