tum agar do na pairahan apna charkh se mang lun kafan apna aage karte the is tarah pamal yaad to kijiye chalan apna aaj hum jaan dene aae hain kuchh dikhate ho bankpan apna shana zulfon mein wan nahin uljha sanp dikhla raha hai phan apna yaad rakhiyo hamari pamali bhuliyo mat kabhi chalan apna ya kaho hum kuen mein dub maren ya dikhao kucha-e-zaqan apna hum wo bulbul nahin jo bagh ko jaen kucha-e-yar hai chaman apna hum ko dikhla ke tang karte hain gah kamar apni gah dahan apna jis ko kahte hain log shahr kada ai 'sakhi' hai wahi watan apna