hamein lapakti hawa par sawar le aai koi to mauj thi dariya ke par le aai wo log jo kabhi bahar na ghar se jhankte the ye shab unhen bhi sar-e-rahguzar le aai ufuq se ta-ba-ufuq phailti bikharti ghata gai ruton ka chamakta ghubar le aai mata-e-wada sambhaale raho ki aaj bhi sham wahan se ek naya intizar le aai udas sham ki yaadon bhari sulagti hawa hamein phir aaj purane dayar le aai na shab se dekhi gai barg-e-akhiri ki thakan ki bund os se us ko utar le aai main dekhta tha shafaq ki taraf magar titli paron pe rakh ke ajab rang-zar le aai bahut dinon se na soe the hum aur aaj hawa kahin se nind ki khushbu udhaar le aai wo ek ada ki na pahchan pae hum 'bani' zara si baat thi aafat hazar le aai