tum ai rais! ab na agar aur magar karo kuchh der apne sath bhi pyare! basar karo mumkin hai zat ka usi lamhe mein ho zuhur ek lamha kaenat se qat-e-nazar karo tayyara-ha-e-ahd-e-rawan hain sada-shigaf misl-e-shua-e-nur khala mein safar karo kab tak muamla ye dimaghon se shahd ka? tasir-e-zahr ban ke dilon mein guzar karo kab tak khud apne dil mein chubhooge barchhiyan nok-e-sinan se gumbad-e-be-dar mein dar karo milta nahin makan jo sharifon ke shahr mein uttho tawaifon ke gharane mein ghar karo